Tuesday, December 05, 2006

Maine jaana tha jisko

Maine jaana tha jisko, woh kitna jinda dil tha,
Kab se woh shaksa, jindgi se be-zaar ho gaya.

Woh to kitna hansta tha, woh kitna hansata tha,
Kya Sadme se gujra hai? Jo Shaayar bhi ho gaya.

Maine dekha tha kal usko, pakad ke haath baitha tha,
Kise doondhe hai lakiron mein, hai kaun kho gaya?

Jise dekha hai jahan mein, apni-apni kahta tha,
Kabhi poocha hai us se bhi, aakhir kya ho gaya?

Jab hum mile the pichli baar, woh but-parast tha,
Jaane kya gujri hai idhar- ki woh Kaafir ho gaya.

Kya bhula tu khuda? Sajde tere dar pe karta tha,
Kyun tere chahne walon mein, naam ek kam ho gaya.